Friday, April 06, 2007

iSay - time


gone are the times when not many ppl had watches, but almost everyone had abundance of time for others. and now are the times when everyone has abundance of time-tracking devices everywhere - on wrists, in mobiles, at walls, on TVs; basically anything which has a display, displays time - but unfortunately what everyone does not have is the TIME!!!

Aur sunao

a friends sister asked me to write a debate on this stupid topic "aur sunao". and since i've written one now, i think it would be good if i put it here.
----------------------------------------------------------------------------------------------
muazzaz judge sahiba! aur sunao! g? mein sunaaoon? chaliyay koshish krti hoon!!

kehtain hain k khwateen kisi bhi mozu per ghantoon bol sakti hain. magar hmaaray aik dost ka khyaal hai k woh baghair kisi mozu k bhi ghantoon bol sakti hain. aur sunao! khwateen ki baat ho rahi hai tou yahaan yeh amar qabl e zikr hai k dou khwaateen aapas mein baat krtay huay "aur sunao" ka shazo nadir he istmaal krti hain. kiun? kiun k unhain apni sunanay say fursat milay tou woh kisi aur ko sunanay ki dawat dain na! aur jab dou shadi shuda mard aapas mein baat kr rehay hoon tou un ki guftgoo "aur sunao" say shuru ho kr "aur sunao" per he khatam ho jati hain. aur woh iss liay, k shadi shuda mardoon ko sirf sunnay ki aadat hoti hai, woh sunana tou taqreeban bhool he jatay hain. lehaza jab dou mard hazraat apas mein baithay hoon tou woh "aur sunao" say aik doosray ki hosla afzai k ilawa kuch nahi kr saktay. aik biwi apnay shohar say baat krtay huay "aur sunao" ka waqtan fawaqtan istmaal zaroor krti hai. magar shohar becharay nai kuch sunanay k liay munh bhi nah khola hota k biwi dobara sunana shuru kr deti hai. tou jnaab hum nai iss per tou behas kr li k khwateen apas mein "aur sunao" ka istmal nahi krtin, aur mard apas mein aur sunao k ilawa aur kuch istmaal krnay k qabil nahi hotay. khwateen mardoon say baat krtay huay saans lenay k liay aur sunao ka istmaal krti hain. magar... mardoon k khwateen say baat krnay ka zikr nahi hua. wajah uss ki yeh hai k hum nai tou aaj tak kisi mard ko khatoon say baat krtay nahi dekha, hamesha khatoon he mard say baat kr rahi hoti hain. aap kabhi dekhain tou hamain bhi zaroor bataiyay ga!!

aur sunao!!

"aur sunao" ka istmaal syaaq o sbaaq k hwaalay say mukhtlif ma'ani rakhta hai. aap kisi shaair say kahin "aur suano" tou woh apna tazah klaam sunana shuru kr de ga. kisi saas say kahain tou woh apni bahu ki shikayatain lay kr baith jae gi, magar kisi bahu say saas ki shikaytain sunnnai k liay "aur sunao" ki qatan koi zaroorat nahi, woh iss k baghair he aapko apnay sub dukhrray suna dey gi. aur yehi "aur sunao" agar aap kisi dil jlay say kahain, tou woh aap ko khari khari suna day ga. tou hamari aik aziz shairah hain, jo dil jali bhi hain aur shadi shudah bhi. un say jab aap "aur sunao" kahain tou woh ehtiatan pooch leti hain "kia sunaoon? gilay shikway, shairi ya phir khari khari?"

aur sunaon??!!

tou janab, aik hakeem sahab nai fashaar e khoon k ilaj ka aik nahayaat he mujarrab aur teer bahadaf nuskha tayar kia hai, magar masla yeh hai k yeh nuskha sirf khwateen aur shair hazraat per he karaamad hai. hakeem sahab ka kehna hai k fishaar e khoon ka sabab khwateen ka chand minute say ziada chup rehna, aur shair hazraat ka kuch dair tak kisi ko apna kalam na sunana hai. ilaaj k liay mariz ko chand ghantay hakeem sahab k saath guzarna hotay hain. nuskha kuch yoon hai k hakeem sahab k pass jab koi fishar e khoon ki mariz khatoon ya mariz shair aatay hain, tou hakeem sahab sab say pehlay apnay kaanoon mein rui thoonstay hain, aur phir mariz k kaan k qareeb ja kr frmaatey hain "aur sunao"!!. bus phir mariz shuru ho jata hai sunana, aur hakeem sahab waqfay waqfay say apna sir hilatay rehtay hain aur mariz ka mushahidah krtay rehtay hain. jab mariz k hont hilna band kr dain tou hakeem sahab kaanoon say rui nikaltay hain, aur bhari bhar kam fees lay kr mareez ko sehat mand honay ki khushkhabri suna detay hain.

aur sunaaoon? g tou suniyay...

hakeem sahab ka jo nuskha tha, uss ki shohrat barrhtay barrhtay "tehreek e insdaad e fishaar e khoon pakistan" k haath lag gia. tehreek choon k pakistan say fishaar e khoon k khaatmay k liay kaam kr rahi thi, tou unhoon nai iss nuskhay k wasee paimaanay per istmaal ka faisla kia. chunachay aik mobile phone service fraham krnay wali company k ishtraak say unhoon nai tv per rozana kai dafa "aur sunao" ka wird shuru kr dia hai, jis say pakistan mein fishaar e khoon say mutassirah khwateen ki sharah mein khaasi kami waqia hui hai.

aur sunaaoon?

tou janab her dawa k kuch manfi asraat (side effects) tou hotay he hain na. aur yeh nuskha chun k zra mukhtlif qism ka tha, iss liay manfi asraat bhi marizoon ki bajae un k ird gird pae janae walay logon per ziada murattab hotay hain. iss dawa say khwateen marizoon ki sehat per to koi manfi asar nahi parra, magar un k saath rehnay walay mard hazraat k kaan kafi mutassir huay hain, lihaza kaanoon mein ddalnay k liay rui ki maang mein bhi kaafi izafa hua hai.

aur sunnaaoon?

kahaan tak suno gey kahaan tak sunaaoon, hazaroon he shikway hain kia kia bataoon.

haal mein maujood iss khamoshi, aap sab ki aankhoon mein timtimaati roshnion aur chehroon per maujood muskurahttoon per jali huroof mein likha "aur sunao" iss stage say baa asaani parrha ja sakta hai, magar waqt khatam hua chaahta hai aur alfaaz bhi, tou mein aap say ijaazat chahoon gi. iss dua k saath k aap k halq e ahbab mein koi na koi aisi hasti hamesha maujood rehay jo aap k dukh dard baanttnay k liay waqtan fawaqtan aap say fermaesh krti rehay k "aur sunao"!!

shukria!!

Wednesday, April 04, 2007

let me speak

again, i have feelings and emotions, but no words to describe. :( still muted, still unable to chose the right words to describe my feelings...